Header Ads

ad728
  • Breaking News

    Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mitegi URDU

    Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mite gi URDU
    Chahne Walon Ke Honton Pe Rahegi URDU

    Ye Zaban Wo Hai Jo Mahlon Mein Rahi Aan Ke Sath
    Aur Mazdoor Ke Ghar Mein Bhi Rahi Shaan Ke Sath

    ISHQ Ki Raah Ko Isne Kayi Raahi Bhi Diye
    Sarhadon Ke Liye Jaanbaz Sipahi Bhi Diye

    Jazba e Jung Ko Seenon Mein Jagaya Isne
    Apne Bharat Ko Ghulami Se Chhraya Isne

    Ye Zaban Jaise Usoolon Ki Zaban Lagti Hai
    Aesi Dilkash Hai K Phoolon Ki Zaban Lagti Hai

    Iske Nazdeek Na Hindu Na Musalman Koi
    Jisne Apnaya Ise Pyar Se Uski Ye Hui

    Ye Taassub Ke Andheron Ko Mita Deti Hai
    Aandhiyon Mein Bhi Chiragh Apna Jala Deti Hai

    Ja Ke Shaikh Ki Dahleez PaFan Ban Jaye
    Poche Mandir Mein To Meera Ka Bhajan Ban Jaye

    Ye To Hai Pyar Ki Pooja Ki Ebadat Ki Zaban
    Ye To Hai Rooh Ki Dharkan Ki Mohabbat Ki Zaban

    Is Zaban Ke Liye Seenon Mein Adawat Na Bharo
    Ye Zaban Pyar Sikhati Hai Ise Pyar Karo

    Is mein Hindi Ke Bhi Alfaz Hain Irani Bhi
    Is mein Geeta Ke Bhi Alfaz Hain Quraani Bhi

    Kon Kehta Hai Arab Se Ye Zaban Aayi Hai
    Aur Is Desh Mein Gairon Ki Zaban Chhai Hai

    Yahin Janmi Hai Yahin Isne Jawani Payi
    Ganga Aur Jamna Ki Lahro Se Rawani Payi

    Jis Tarah Bhi Rahe Isko To Yahin Rahna Hai
    Hum ko URDU Ke Hareefon Se Yahi Kehna Hai

    Apni Tahzeeb Ko Sansar Mein Ruswa Na Karo
    Yani URDU Ko Mitane Ka Iradah Na Karo

    Apni Pagri Ko Uchala Nahi Jata Logo
    Ghar Se Beti Ko Nikala Nahi Jata Logo

    No comments

    Post Top Ad

    ad728

    Post Bottom Ad

    ad728